VINAASH

Kitne post daalu aur Kis Kis ke liye daalu

Har roz ek Nayak salakho k peeche daala jaa raha hai

Ya koi ban raha hai - Goliyo ka Shikar


Aur mera post, Koi dekh bhi raha hai kya ?

Aur jo dekh raha hai - wo samajh bhi raha hai kya ?


Ab Dekha to to yahi tha bachpan mein 

Ki Hero ki jeet hoti hai

Villain maara jaata hai


Par jab bade hue, to pata chala

Ki - Hero kabhi nahi jeet ta

Villain ki hi jeet tay hai


Par Janta - Meri jaisi nahi

Wo sochti nahi hai, samajhti nahi hai

Khalnayak hi Inka Naayak hai


Tabhi to Dharm ka Vyapar chal raha hai hazaro saalo se

Kyunki Ye katputliya hain - Hamari Bholi Janta..

Inko moorkh banana itna asaan hai - aisa socha nahi tha


Lagta tha - aise bhi koi manega kya - agar - koi aise moorkh banayega toh

Par jis baat ka 1 prartishat bhi yakeen nahi hota tha

Wo to asaani se - ye log kar gaye 

Ek baar nahi, Baar Baar, Lagataar...


Aur wo Abhineta jo badi badi baate kiya karte the, Un Adarsh Kirdaro mein

Ab dikhte hain - Dhoort Raja ke Darbaaro mein


Arre Bhai, Kitni hai iss satta ki bhook

Kab rukega ye Shikari, ya kabhi rukega hi nahi


Bhook hai ya Darr ya Dono

Thaat jayegi, Jhaanki jayegi

Aur ruk gaya, to khud shikar ban Jayega, yahi darr hai ise

Isilye - ye to rukega nahi


Isko to ab - Rokna Padega...aur nahi koi upchaar


Chamatkar ka Intezar bhi hai Bekar

Nahi badlega takht raato raat


Dil ummeed mein hai abhi bhi, par dimag saath nahi de raha..

Dhoort Moorkh par to hamesha se Bhari hai aur rahega


To kaise hoga iska pardafash ? Kya janta iss mayajaal se aa payegi bahar

Vaigyanik Swabhav ( scientific temperament ) to utpann ye hone nahi denge


Banake rakhenge - Tumhe moorkh

Ya Uljha denge - Bollywood ya Kirket mein Tumko, 

Ab toh Reels / Tik-Tok / Insta / FB - na jaane kya kya hai tumhe uljhane ke hathiyar


Din bhar k kaam k baad waise bhi kaha hai TIME

Aur apna Bhatsapp University to waise bhi ghar pahuch zehar samay se pahucha hi raha hai..


Par in sab ke beech


Ek LAU hai - ITIHAAS ki, 

jo kehti hai - Takhta Paltega - Hosh Mein Ayega Insan..


Pehle bhi aaye the Raavan, Pehle bhi hua tha Raavan Raaj

Chala tha wo kaal bhi bahut lamba


Bani thi usme bhi Insan ki Katputliya

Par Hua Tha Uska Bhi ANT...


Kya Hoga Iska Bhi - Vinaash....


Vinaash

 -By  Kul

Comments